Monday, October 6, 2014

Karela aur Upyog



Karele ki Rasedar Sabji (KKRS /// SRKK)
Samagri
Karela        250g (2-3)
Pyaz          100g
Tamatar       100g
Adrak
Lahsun
Doodh ki Cream 500 ml (Tazi)
Dhaniya       1 gaddi
Meat Masala   1 Chhota Chammach
Lal Mirch     1 chhota chammach
Haldi         1 chhota chammach
Sarason ka tel
Namak

Vidhi

1. Karele, Pyaz aur Tamatar ko dho kar barik kat len.
2. Pyaz, Lahsun, Adrak, Thodi si dhaniya, Lal mirch, Haldi aur Meat masale ko ek sath Peesh lijiye.
3. Kadahi me Tel garm kare aur Jeere, Kali Mirch, Laung ka tadaka den aur bhura hone par Pyaz ke sath pise masalon ko dal kar bhun len.
4. Masale tel chodane lage to tamatar dal kar bhun len, ab Karela dal kar thodi der bhune.
5. Ab tazi cream, namak dal kar chalayen aur dhak kar pakane den lagbhag 15 minute dhimi anch par.
6. Pak jane par dhaniya aur cream se saja kar serve karen.



Karele ki Kalaunzi (KKK)



Samagri

Karela        250g (2-3)
Pisi Dhaniya  1 Chhota Cup
Kalaunzi dana 1 bada Chammach
Amchur        1 bada Chammach
Lal Mirch     1 chhota chammach
Haldi         1 chhota chammach
Sarason ka tel
Namak

Vidhi

1. Karele ko dhokar beech se fad len.
2. Ab pisi dhaniya, Amchur, kalaunzi dana(masala/brrz), haldi mila kar sarson ke tel me san len aur  karelon me bhar le.
3. Kadahi me sarason ka tel garm hone par karelon ko usame fry karen aur fir dheemi anch par dhak kar pakane de.



Karele ki Kalaunzi Pyaz Vali(KKK PV /// VP KKK)

Samagri

Karela        250g (2-3)
Pyaj          100g
Pisi Dhaniya  1 Chhota Cup
Kalaunzi dana 1 bada Chammach
Amchur        1 bada Chammach
Hari Mirch    2-3
Haldi         1 chhota chammach
Sarason ka tel
Namak

Vidhi

1. Karele ko dhokar beech se fad len.
2. Pyaj ko chheel kar use peesh len.
3. Ab pise pyaj me pisi dhaniya,Amchur, kalaunzi dana(masala/brrz), haldi mila kar karelon me bhar le.
4. Kadahi me sarason ka tel garm hone par karelon ko usame fry karen aur fir dheemi anch par dhak kar pakane de.
5. Dhyan rakhen kahin bhi pani ka upyog nahi hua hai. Masalo ko milate samay chahe to tel mila sakte hai.

Karele ki Bhuzia (KKB)

Samagri

Karela 250g (2-3)
Pyaj 500g
Methi 1 Chhota Chammach
Hari Mirch 2-3
Garam masala 1 chhota chammach
Haldi Chutaki bhar
Amchur        1 bada Chammach
Sarason ka tel
Namak

Vidhi

1. Karele ko dhokar sukha le aur use gol gol patle patle tukade kar lijiye.
2. Pyaj ko chheel kar kat le.
3. Kadahi garm karen aur usame Methi aur Mirch ka tadaka lagayen.
4. Methi bhuri hone par Pyaj dal kar thodi der chalayen.
5. Ab karele dalkar ek bar chala kar dhak de aur dheemi anch par chalate huye pakayen.
6. Karela pak jane par Garam masala,Amchur aur Haldi dal kar chala len aur thodi der bhun kar garma garma serve karen.


No comments:

Post a Comment