Monday, October 6, 2014

BHARVA ALU KE KOFTE SHAHI GREVY ME


BHARVA ALU KE KOFTE SHAHI GREVY ME



SAMAGRI


* Aloo 8 madhyam akar ke
* Paneer 100 gram
* Khoya 100 gram
* MDH Kichen King Masala
* Hari Mirch
* Adrak
* Lahsun
* Hari Dhaniya
* Kadi Dhaniya
* Kadi Jeera
* Kadi Methi
* Kadi Kali mirch
* Kadi Jayafar
* Kadi Javitri
* Kadi Tejpatta
* Kadi Dalchini
* Kadi Laung
* Kadi Badi Ilayachi
* Kadi Chhoti elayachi


VIDHI


1. Sarvapratham medium size ke Aloo chhant le aur use achhe se dhul le.
2. Sabhi Aluon ka chhilaka utar len aur pani me dubo kar rakh de nahi to aloo lal pad jayega.
3. Ab kisi Steel Pipe / Chaku se in aluon me hole bana le par dhyan rakhe dusara side band hi rahega.
4. Ab In Aluon ko garam tel me Deep fry kar le sunahara hone tak aur sath me bache huye chhilake ko bhi fry kar le.
5. Ab Khoya, Paneer, hari mirch, dhaniya, Adrak ko barik kat kar APAS me sab ko mix kar len.
6. Ab is mishran ko aluon me bhar dijiye aur dhyan rahe aloo tute nahi.
7. Ab Grevy ke liye 4 lal tamatar, 4 pyaj, adrak, Lahsun, Dhaniya, Mirch, TejPatte, badi elayachi, choti elayachi, javitri, dalchini, methi,saumf, jeera, kali mirch,jayfar etc. kat kar ek bhagone me thodi der ubalen aur fir mixy me pees le.
8. Peese mishran ko chhanni se chan kar kadahi me grevy banane ke liye rakh de. Isame namak dal kar thodi der pakane de.
9. Ab grevy me Kichen King (MDH) masala dal kar ek bar chalayen aur fir usame ALOO dal ke gas dheemi karke thodi der pakane de.
10. Aloo pak jane par Dhaniya patti dal kar garma garm serve karen.

No comments:

Post a Comment